Monday, March 15, 2010

jeena isi ka naam hain:)

kisi ki muskuraahaon pe ho nisaar


kisi ka dard mil sake to le udhaar

kisi ke vaaste ho tere dil men pyaar

jeena isi ka naam hai

kisi ki..................................



(maana apani jeb se fakeer hain

phir bhi yaaron dil ke ham ameer hain ) \- (2)

mite jo pyaar ke liye vo zindagi

jale bahaar ke liye vo zindagi

kisi ko ho na ho, hamen to aitabaar

jeena isi ka naam hai

kisi ki..................................



(rishta dil se dil ke aitabaar ka

zinda hai hamin se naam pyaar ka ) \- (2)

ke mar ke bhi, kisi ko yaad aayenge

kisi ke aansuon men muskuraayenge

kahega phool har kali se baar baar

jeena isi ka naam hai

kisi ki..................................

No comments:

Post a Comment